Googly written by Mehul Oza May 11, 2009 int. Day dressing room of cricketers



Download 0.94 Mb.
Page10/11
Date02.02.2017
Size0.94 Mb.
#16312
1   2   3   4   5   6   7   8   9   10   11

VO OF ARUN

Isi ke sath Sunil ka ardhashatak pura hua. Sunil ne shanadar pari kheli hai. Unhone kewal adtalis gendo me ardhashatak pura kiya hai.


VO OF SURESH

Ji haan Arun. Unhone aane wale ballebazo ke liye achha platform taiyar kiya hai. Vijay bhi adtalis runs par khel rahe hain. Ardhashatak se kewal do runs ki doori par hai. Aaiye ab agali gend ki aur baddhate hain.


Bowler bowls. Vijay is bowled out. He is angry with himself and jerks his head. Audience becomes silent. Coach, Sanjit and Anil are unpleasantly shocked.
VO OF ARUN

(very loudly.)

Aur OUT! Vijay Mehara chawalis runs par out ho gaye hain. Matra do runs se ardhashatak se vanchit rahe gaye hain. Front foot par straight drive karana chahate the. Bernard ne dhimi ball ki thi. Vijay us gend ko samajhane me dhoka kha gaye the aur clean bowled ho gaye the.
Scoreboard shows- India- 108/1 in 16 overs. Sunil Singh- 54 (48) Vijay Mehara- Bowled by Bernard- 46 (48). Extras- 9. Vijay walks out of stadium and passes Sunil. He looks disappointed. Sunil shakes his head in disapproval. Coach Singh is disappointed. So is Sanjit. Vijay looks at celebrating rivals and then at pavilion. Next batsman Ramesh is walking out.
VO OF SURESH

India ne apana pahela wicket kho diya hai. Bernard ne bahot chaturai se gati parivartan kar ke Vijay ko chakma de diya tha. Score hai ek-sau-saat runs aur ek wicket. Satarah overs ke baad. Naye ballebaz Ramesh Patil maidan par aa rahe hain.


Ramesh walks and takes guard. Umpire okays spot. Ramesh gets ready to play. Bowler bowls. Ramesh plays well and runs one run. It’s Sunil's turn to bat. He hits and runs one run.
VO OF ARUN

Sunil chaupan runs par pahoche hain.

Ramesh makes one run. Then plays two balls without runs.
VO OF SURESH
Arun Ramesh koi khatara lena nahi chahate hain kyunki Bharat ne abhi wicket khoya hai. Isi ke sath yeh over samapt hua.
Next bowler bowls. Sunil hits and runs one run.
CUT-TO:
Ramesh hits four runs. Rival team’s cheer girls are hooting him. Bowler is bowling next ball. Ramesh hits four runs again. One cheer girl takes off her shirt to show very thin shirt when bowler is about to bowl. It distracts Ramesh and ball beats him. He stops and looks at bowler. Bowler bowls next ball. One more cheer girl takes off shirt. Ramesh is bowled out and looks back at stumps disappointedly. Audience boos him. Cheer girls laugh and cheer. Sunil is upset. Singh, Chandra, Aarati and Vishakha are tense.

VO OF ARUN

(loudly.)

Ramesh out ho gaye hain. Stephen ki off-break ko bilakul pahechan nahi paye hain aur clean bowled ho gaye hain. Woh terah gendo me solah runs banakar out huwe hain. Agale ballebaz Deven khelane aa rahe hain.

Scoreboard showsRamesh Patil- Bowled by Stephen - 17 (12). Sunil Singh- 67* (66) India- 135/2 in 21 overs. Extras- 9. Next batsman Deven comes to play. Cheer girls are removing their shirts and swinging them. It shocks Deven. He stops bowler and complains about audience’s interruption and points them to umpire. Girls put shirts back on.



VO OF ARUN

Shayad koi khel me rukavat daal raha hai. Deven ne umpire se shikayat ki hai.


Umpire looks behind but everything seems fine. Game starts again. Deven stares her down and looks at bowler coming to bowl. He prepares to bat. She tries to get Deven’s attention again by deflecting sunlight through plastic placard and blowing whistles. But Deven ignores her and plays well for two runs.
CUT-TO:
They make some runs.

VO OF SURESH

Kam wakt me do wickets jane ke baad Bharat ke run karane ki gati dhimi ho gayi hai. Score hai ek-sau-paitis par do wickets. Pachhis overs ke baad.




CUT-TO:

One rival cheer girl shows card that reads “Hey sexy!” Another cheergirl shows card that reads “Hit me!” Deven and cheer girls look at each other. Girls throw kisses at him. One cheergirl even shows her phone number on card and jumps high up and down. She waves to Deven. Bowler bowls. Deven hits but ball hits edge of bat and goes on stumps. Deven gets bowled out. Sanjit, Singh, Chandra, Aarati and Vishakha are upset. Crowd turns silent.


VO OF ARUN

(shocked and saying loudly.)


Aur yeh bowled! Deven kewal saat gendo me saat runs bana kar out ho gaye hain. Bharat ek baar phir musibat me hai. Gend bahari kinare par lag kar sidhi stumps par ja giri thi. Bharat ne tin wickets kho kar ek sau chalis runs banaye hain. Chhabbis overs ke baad.
Next batsman Shakil comes out to bat. He hits a four. Crowd cheers wildly. Cheer girl are throwing kisses distract Shakil. He gets caught out. Crowd becomes silent. So do Chandra, Aarati and Vishakha. Coach and team are shocked.
VO OF SURESH

(loudly.)

Chautha wicket! Bharatiya team bhari sankat me hai! Shakil Abbas sirf pandrah run bana kar out ho gaye hain.
Shakil walks back to pavilion. Scoreboard shows- Sunil Singh- 76* (84). Shakil Abbas- 12 (12). Extras- 9. India- 157/4 in 26.1 overs. Needs 150 runs in 134 balls. 6 wickets remaining.
VO OF SURESH

Gend bahari kinare par lag kar sidhe fielder ke hath me chali gayi thi. Shakil aatth runs bana kar out ho gaye hain. Score hai ek-sau-pachas runs, char wickets khone ke baad. (Sanjit comes out to bat. Crowd gives him big applause. So do Singh, Chandra, Aarati and Vishakha. They watch him eagerly.) Bharat ke captain Sanjit batting karane aa rahe hain. Sare fans unase aasha kiye baitthe honge. Hume yeh janana hai ki woh Bharat ki bikharati pari ko sambhal paate hain ya nahi. (Bowler prepares to bowl.)



VO OF ARUN

Sanjit ab paheli gend ka samana karane ke liye taiyar hain.


Sanjit plays without run. After that both batsmen make some runs.
CUT-TO:
VO OF ARUN
Sanjit dhire-dhire khel ke maidan par apane pair jama rahe hain. Suresh dono behad sulaji pari khel rahe hain.
VO OF SURESH

Ji ha Arun. Bharat ne char wickets gava diye hain. Aisi sthiti me inhe team ko sthirata pradan karane ki zarurat hai aur mere khayal me yeh dono woh kaam bilakul thik tarah se kar rahe hain.

Scoreboard shows- India- 194/4 in 30 overs. Sunil Singh- 84* (94). Sanjit- 30 (32)*. Extras- 10. India needs 113 runs in 120 balls. Batsmen are playing without getting any runs.
VO OF ARUN

Suresh Bharatiya pari behad dhimi ho gayi hai. Pratidwandi team lagatar do maiden overs daal chuki hai aur usake baad ki over me bhi Bharatiya ballebaaz kewal ek hi run bana paye the. Sunil aur Sanjit ko runs banane ke koyi tarike talash karane honge.


VO OF SURESH

Arun aap ne sahi kaha. Ballebazo ko tez khelana hoga. Required run rate lagatar upar ki aur ja rahi hai.


Just then Sanjit hits four. Crowd cheers. Coach, team and girlfriends and Chandra are cheering them.
VO OF ARUN

Sanjit ne is gend ko bahot sundarata se boundary ki disha me cut kar diya hai. Shanadar shot. Sanjit ko char runs mile hain.


Umpire signals four. Crowd is shouting with excitement.
VO OF SURESH

Sanjit ne bahot achhi cover-drive ki hai. Fielders dekhate hi rahe gaye hain.


CUT-TO:_COMMENTARY_BOX_Arun_and_Suresh_are_talking._ARUN'>CUT-TO:
Sunil hits two runs. Then runs single. Sanjit hits a sixer. Crowd roars ecstatically. So do Singh, Chandra, Aarati and Vishakha.
VO OF ARUN

(in very loud tone.)

Chhe run! Lajawab chhakka. Sanjit dhuadar ballebazi ka pradarshan kar rahe hain.
VO OF SURESH

(equally excited.)

Bilakul. Sanjit aakramak ballebazi kar rahe hain. Is baar unhone crease se bahar nikal kar long-on ki disha me khel diya hai. Utkrisht shot thi Arun.
Scoreboard shows- India- 218/4 in 34 overs. Sunil Singh- 96* (106) Sanjit Sharma- 42* (44). Extras- 12. India needs 89 runs in 96 balls.

VO OF ARUN

Haan Suresh. Dono ballebaz behad achha khel rahe hain. Sunil ko ab shatak pura karane ke liye kewal char runo ki zarurat hai. Bharatiya pari ek baar phir sukun se aage baddh rahi hai. Unhe ab jitane ke liye chhyanwe gendo me nivassi runs ki zarurat hai aur ab Sunil Owen ki agali gend khelenge.


Sunil tries to hit a big shot but ball hits him on his pad. Bowler appeals for LBW out. Umpire raises finger and declares him out.
VO OF ARUN

(loudly.)

Bowler ne appeal ki hai aur OUT! Sunil sirf chhyanwe ke score par hi out ho gaye hain. Bharat ko panchawa jhataka laga hai. Sunil bahot hi durbhagyashali rahe hain.
Sunil is very disappointed and walks. Sanjit is very disappointed too. Bowlers celebrate his wicket. Audience is very disappointed too. Singh, Chandra, Aarati and Vishakha are disappointed too.
VO OF ARUN

Sunil Owen ki gend par LBW ho gaye hain. Owen ne unhe gend ki gati se dhoka dekar back foot par khelane ke liye majaboor kar diya tha. Sunil bahot durbhagyashali rahe. Woh apana shatak pura nahi kar sake. Chauranwe runo ki shanadar pari ke baad out ho gaye. Agale ballebaz Kamal ballebazi karane aa rahe hain. Bharat paanch wickets kho chuki hai. Bharatiya pari ek baar phir ladakhada rahi hai. Umpire ne drinks break ke liye ishara kiya hai.


Rivals celebrate. Scoreboard shows- Sunil Singh- LBW - Owen McLane- 96 (107). Sanjit Sharma- 42 (44)* India- 218/5 in 34.1 overs. Extras-12. India needs 89 runs in 95 balls. 5 wickets remaining. New batsman Kamal comes out to play. Umpire calls for Drinks Break. They go for drinks. Both drink water and wash faces. Then wipe.
VO OF SURESH

Bharat ne paanch wickets kho diye hain. Jitane ke liye unhe nivaasi runs banane hain. Sirf panchanve gendo me. Sanjit aur Kamal ko savadhani se khelana chahiye.



VO OF ARUN

Bilakul thik kaha aapane Arun lekin yeh bhi yaad rakhana hoga ke achha run rate kayam rahe.


On playground- Sanjit is talking to Kamal.
SANJIT

Kamal tum kisi bhi tarah ek run lekar strike mujhe do.


KAMAL

Thik hai.


SANJIT

Har gend par tez daudana. Hume zyadatar gendo me do run karane ki zarurat hai.


KAMAL

Achha.
Twelfth man comes out with water.


TWELFTH MAN

(to both.)

Coach ka kahena hai ki south stand ki cheer girls se bach ke rahena. Woh hamara dhyan batane ki koshish kar rahi hain. (Points at cheer girls. Cheer girls are looking at rival coach. Sanjit and Kamal look at the cheer girls and look in their pavilion. Coach Singh points at cheer girls and shuts eyes with palms.) Coach kahe rahe hain ki unaki tarf dekhana nahi.
SANJIT

Thik hai. Ab tum jao.


CUT-TO:_Bowler_bowls_next_ball._Anil_hits_it_high._Crowd_cheers_loudly._VO_OF_SURESH'>CUT-TO:
Game begins. Batsmen make some runs. Sanjit makes one run. Crowd claps.

VO OF ARUN
Isi ke sath Sanjit unchas runo par pahoche hai. Ardh-shatak karane ke liye unhe kewal ek run ki zarurat hai. Bharatiya ballebazo ne achhi ballebazi ki hai.
Scoreboard shows- Sanjit Sharma- 49 (50). Kamal Mathur- 8 (5). India- 235/5 in 36 overs. Extras-14. India needs 72 runs in 84 balls. 5 wickets remaining.
Kamal plays for one run. Then Sanjit hits a four and completes his half-century. Audience, coach Singh and rest of the team applaud.

VO OF ARUN

(excitedly and loudly.)

Sanjit ne apana ardh-shatak pura kiya. Kewal baavan gendo me unhone yeh ardh-shatak kiya hai. Suresh jis tarah se Sanjit khel rahe hain mera manana hai ki Bharat sahejata se jit ke karib pahoch raha hai.
VO OF SURESH

Arun main aap se bilakul sahemat hoon. Sanjit ne behad shandar pari kheli hai


CUT-TO:
Kamal is batting.
VO OF SURESH

Chalisawe over ki aakhari gend dali ja rahi hai. Bharat ka score hua do-sau-sattais par chhe. Kamal agali gend khelane ke liye taiyar hain.


Bowler bowls. Kamal tries to hit towards boundary but gets bowled out.
VO OF ARUN

(loudly and anxiously.)

Kamal Shah bowled ho gaye hain. Sidhi gend thi. Unake shot khelane ki timing galat thi. Gend bahot tezi se bat ke niche se guzar gayi. Bharat ka chhattha wicket ja chuka hai. Darshako me sannata hai.
VO OF SURESH

Haan Arun. Bharat ki pari phir musibat me hai. Char wickets baki hai aur jitane ke liye ab bhi sath runo ki zarurat hai. Aage dekhate hai kya hota hai.


Kamal is walking back. Anil walks out to bat. We see crowd. Everyone becomes silent. Scoreboard shows- India- 250/6 in 40 overs. Sanjit Sharma- 65 (68)*. Extras- 14. India needs 57 runs in 60 balls. 4 wickets in hands.
CUT-TO:
COMMENTARY BOX
Arun and Suresh are talking.
ARUN
Agale ballebaz Anil khelane aa rahe hain. Suresh mera khayal hai ki Bharatiya khiladiyo ko soch-samajh kar khelana hoga.
SURESH

Arun aap ka khayal bilakul sahi hai magar agar kisi ek khiladi ki baat ki jaye to saare logo ki nigahe ab Sanjit par tiki hai. Bharat ko sath gendo me sattar daudo ki zarurat hai.


Anil comes out.

VO OF ARUN

Anil khelane aa chuke hain. Anil ne bahot shanadar gendabazi ka pradarshan karate hue teen wickets liye the. Dekhana hai ki ballebazi se woh team ka koi fayada kara sakate hain ya nahi. Arun mera manana hai ki jit ka sara daromadar is aakhari jodi par hai.


Bowler bowls. Anil hits towards boundary and runs two runs. On next ball he runs single. Sanjit doesn't get any run on the ball after that. Then Sanjit hits four. Crowd is ecstatic. Singh, Chandra, Aarati and Vishakha are applauding joyously.
VO OF SURESH

(loudly and excitedly.)

Aur yeh chauka! Bahot badhiya cut! Bharat khel me phir apane kadam jama raha hai. Dono ballebaz behad achha khel rahe hain. Bharat ko ab adatis gendo me pachas runs ki zarurat hai.
Batsmen make some more runs. Scoreboard shows- India- 260/6 in 43 overs. Sanjit Sharma- 74 (80)*. Anil Chawla- 1 (6)*. Extras- 14. India needs 47 runs in 42 balls. 4 wickets remains. Sanjit comes out of crease and hits a sixer. Crowd roars. So do Singh, Chandra, Aarati and Vishakha.



VO OF ARUN

(very loudly.)

Aur yeh chhakka! Bahot hi dumdar shot. Tez gend ko aage aakar utha diya tha chhe runo ke liye.
Sanjit comes out once again and hits towards boundary. Ball bounces before boundary and goes over it for four runs. Audience and team are ecstatic. So are Singh, Chandra, Aarati and Vishakha.
VO OF SURESH

(loudly and excitedly.)

Sanjit ne ek baar phir boundary ki disha me khele the. Char run mile hain. Sanjit akramak batting ka pradarshan kar rahe hain. Bahot hi baddhiya shot. Unhone kewal do gendo me dus runs jod diye hain. Fans me behad khushi chhayi hai.
CUT-TO:
Audience roars with excitement.
VO OF ARUN

Bilakul sahi samay par Sanjit ne bade shots khelana shuru kar diya hai. Bharat ab jit ke karib pahoch raha hai.


VO OF SURESH

Ji haan Arun ab Bharat ko jit ke liye chhattis gendo me taitis run banane hain.


Scoreboard shows- India needs 33 runs in 36 balls. 4 wickets remain. Sanjit Sharma- 86 (83). Anil Chawala- 5 (7).
CUT-TO:
Bowler bowls next ball. Anil hits it high. Crowd cheers loudly.
VO OF SURESH

(loudly.)

Utha kar boundary ki tarf khel diya hai.
Coach, team, Aarati, Vishakha and Chandra are happily watching the ball. Fielder runs towards ball. Ball is coming down.
VO OF ARUN

(loudly.)

Fielder maujud hai. Gend ki aur baddh rahe hai. Shayad catch ho sakata hai.
Fielder jumps and grabs it with one hand and falls on ground. Then stands up and throws it in sky. Anil has been caught-out.
VO OF ARUN

(shocked and saying it very loudly.)

Aur yeh OUT! Anil out ho gaye hain. Bharat ko bahot bada jhataka laga hai.
Bowling team is ecstatic. They celebrate his wicket.
VO OF SURESH

Anil mid-on se boundary ki aur khelana chah rahe the lekin ball ne upari kinara le liya aur fielder ki tarf uchhal gayi. Fielder ne bahot hi baddhiya catch kiya hai. Bharat ab saat wickets kho chuka hai. (Scoreboard shows- India needs 19 runs in 24 balls. 3 wickets remain.) Jit ke liye unhe ab bhi chaubis gendo me bees runo ki awashyakata hai. Aise mauke par Anil ka wicket khona Bharat ke liye nuksandeh ho sakata hai. Score hua hai dou-sou-atthasi runo par saat wickets. Chhiyalis overo ke baad.


Coach, team, Aarati, Vishakha, and Chandra look very disappointed. Anil walks inside pavilion. New batsman comes out to play.
VO OF SURESH

Bharat ki pari ab nazuk mod par aa ruki hai. Agale ballebaz Vikram khelane aa rahe hain. Sanjit ko unaka margadarshan karana hoga. Agar yeh dono sirf char overs sambhal kar khele to bhi aasani se jit sakate hain Arun.


VO OF ARUN

Aap ne bilakul sahi kaha Suresh.


Scoreboard shows- India- 288-7 in 46 overs. Bowler bowls. New batsman Vikram plays but doesn't get run.
VO OF ARUN

Vikram ne is gend ko khela hai lekin koi run nahi milega. Bharat ko ab tebees gendo me unnis runo ki zarurat hai. Tin wickets baki hain.


Vikram hits the ball and runs one run.
CUT-TO:
Scoreboard shows- India needs 10 runs in 10 balls. 3 wickets remain. Vikram is batting. He plays ball and makes one run.
VO OF ARUN

Vikram ne ek run kiya. Bharat ab vishwa cup se kewal nau runo ki doori par hai aur Sanjit apane shatak se kewal paanch run door hain. Aur ab Sanjit agali gend ka samana karenge.


Bowler bowls. Sanjit plays but does not get a run.
VO OF ARUN

Sanjit is gend ko sahi disha nahi de paye hain. Unhe yahan par koi bhi run nahi milega. Ab aath gendo me nau runo ki zarurat hai.


Coach, team, Aarati and Vishakha look very stressed. Sanjit goes towards Vikram and talks to him. Then runs back to bat.
VO OF SURESH

Sanjit ne Vikram se baat ki. Pressure baddh raha hai Arun. Aise halato me ek dusare se baat karana behad zaruri hota hai.


VO OF ARUN

Aap ne bilakul sahi kaha Suresh. Mera anuman hai ki Sanjit tezi se run daudane ki sifarish kar rahe honge. Aur ab agali gend.


Bowler bowls. Sanjit hits the ball softly and runs very fast. Vikram runs fast from the other side too.
VO OF ARUN

(loudly and excitedly.)

Sanjit ne khel diya hai aur tezi se run daud rahe hain. Vikram bhi crease se daud chuke hain. (Fielder throws ball on stumps and appeals for run-out.) Fielder ne throw kiya. (saying it very loudly.) Gend seedhe stump par ja lagi hai. Fielder ne appeal ki hai. Sanjit ke run-out hone ki sambhavana hai. (Umpire asks third umpire on walkie-talkie.) Umpire ne third-umpire se puchhane ka faisala kiya hai.
Coach, team, Aarati and Vishakha look very worried. So do Sanjit and Vikram. Big screen on ground shows action-replay. Sanjit has reached inside the crease before ball has hit the stumps.
VO OF SURESH

Arun mere khayal se Sanjit wakt par crease ke andar pahoch chuke hain.


VO OF ARUN

Haan Suresh. Sanjit bilakul surakshit hain. Unaki kismat bahot achhi thi. Is run ke sath Sanjit chhyanawe runo par pahoch gaye hain. Ab woh shatak se kewal char runo ki doori par hain. (Big screen on ground shows- Not out.) Not out. Third umpire ne bilakul sahi faisala kiya hai.


Audience cheers loudly. Coach Singh, team, Aarati and Vishakha clap. Umpire on ground says not out. Sanjit and Vikram look relieved.
VO OF SURESH

Prekshako me khushi ki lahar daud gayi hai. Aap dekh sakate hain Arun ki Coach Singh aur Bharatiya team ne bhi rahat ki saans li hai. Ab ki baar Sanjit ko sambhal kar khelana hoga. Bharat ko ab jitane ke liye saat gendo me aath runo ki zarurat hai. Aur ab is over ki aakhari gend ki aur baddhate hain.


Bowler bowls. Vikram is bowled out. Bowler and fielders make lots of noise and celebrate his wicket.
VO OF ARUN

(very loudly and worriedly.)

OUT! Vikram out ho gaye hain. Tez Yorker ko bilakul khel nahi paye aur bowled ho gaye. Bharat ki pari ab bhari sankat me hai. Aathawa wicket ja chuka hai.
Coach Singh, team. Aarati and Vishakha look very stressed. Audience is cheering the last batsman to play well. Last batsman is walking out to bat. Vikram is going in pavilion.
VO OF SURESH

Bharat ko bahot bada jhataka laga hai Arun. Aakhari over me aath runo ki zarurat hai aur sirf do wickets baki hai. Naye ballebaz Dipankar Basu khelane aaye hain lekin shukra hai ki is wakt strike Sanjit ke paas hai. Arun mera manana hai ki Sanjit ko zyada se zyada gende khelane ki koshish karani hogi. Dipankar ko ballebazi ka zyada anubhav nahi hai. Is wakt chhoti si galati karana bhi team ke liye khataranak sabit ho sakata hai. (Scoreboard shows- India needs 8 runs in 6 balls. 2 wickets remain.


VO OF ARUN

Aap ne sahi kaha Suresh. (Bowler prepares to bowl.) Aur ab gendabaz gend karane ke liye taiyar hain. (Bowler bowls. Sanjit plays the ball and runs. Audience shouts and cheers Sanjit. Arun talks loudly.) Sanjit ne khel diya hai. Run daud rahe hain. Ek run aasani se mil jayega.


Sanjit completes run.
VO OF SURESH

Ji haan aur Sanjit ne run pura kiya. Isi ke sath Sanjit sattanawe runo par pahoche hain. Woh shatak se kewal tin run door hain. Bharat ko ab paanch gendo me saat runo ki zarurat hai aur strike naye ballebaz Dipankar ke paas hai.


VO OF ARUN

Match bahot hi romanchak mod par aa gayi hai. Dipankar ko bahot hi dhyan se khelana hoga. Unhe kisi bhi tarah ek run lekar strike phir se Sanjit ko deni chahiye. (Bowler prepares to bowl.) Gendabaz gend karane ke liye taiyar hain. (Coach Singh is watching very worriedly.)


VO OF SURESH

Coach Singh bahot chintit hai. Jit ke itane karib pahoch kar harana unhe bilakul manzur nahi hoga.


Bowler bowls. Dipankar plays but ball goes towards a fielder.
VO OF ARUN

(very loudly.)

Dipankar ne khel diya hai lekin koi run nahi milega. Fielder maujud hai. Bharat ki pari ab bahot hi mushkil padav par hai. Unhe char gendo me saat runo ki zarurat hai. (Sanjit talks to Dipankar. Coach Singh signals Dipankar to play the ball softly and run very fast.) Sanjit Dipankar se baat kar rahe hain. Coach isharo se unhe koi sujhav dene ki koshish kar rahe hain.
Sanjit goes back at non-striker’s end. Dipankar goes back to bat. Bowler prepares to bowl.
VO OF SURESH

Sanjit ko shatak ke liye teen runo ki zarurat hai. Bharat ko saat runo ki zarurat hai magar strike Dipankar ke paas hai. Ab Dipankar agali gend khelane ke liye taiyar hain.


Audience makes noise to cheer Dipankar. Bowler bowls. Ball hits Dipankar’s pad but he runs fast. Bowler appeals for LBW. Umpire says not out. Sanjit runs very fast. Dipankar sees him and runs very fast too.
VO OF ARUN

(very loudly.)

Dipankar ne khel diya hai aur run daud rahe hain. Dusare chhor se Sanjit pahele hi crease se daud chuke hain. Fielder gend tak pahoche. (Batsmen complete the run. Audience shouts to cheer batsmen.) Lekin ballebazo ne run pura kar liya hai. Sanjit sattanawe runo par khel rahe hain. Bharat ko teen gendo me chhe runo ki zarurat hai. Sanjit ko ek bada shot khelane ki koshish karani chahiye. (bowler runs to bowl. Audience makes noise. Coach Singh watches worriedly.) Gendabaz gend karane daud rahe hain.
Bowler bowls. Sanjit hits the ball hard towards his right and runs fast.
VO OF ARUN

Sanjit ne dumdar shot khela hai. Pahela run daud rahe hain.


Sanjit completes one run and runs again for second run. Fielder fields the ball and throws it at bowler.
VO OF ARUN

Sanjit dusara run daud rahe hain. Fielder ne gend ko field kar gendabaz ki aur fek diya hai.


But Sanjit completes second run. Audience cheers Sanjit very loudly. Sanjit runs for third run. Dipankar sees him running and runs.
VO OF ARUN

(loudly.)

Sanjit ne dusara run pura kiya aur tisare ke liye daud rahe hain. Fielder ne gend ko wicket-keeper ki disha me fek diya hai. Yahan par Dipankar ko khatara ho sakata hai.
Ball reaches wicket-keeper. Wicket-keeper hits stumps and appeals to umpire.



Download 0.94 Mb.

Share with your friends:
1   2   3   4   5   6   7   8   9   10   11




The database is protected by copyright ©ininet.org 2024
send message

    Main page